Saturday, 22 August 2015

Kuch Baat...

Ek din maine usse kaha
Tujhse kuch baat karni hai,


Wo boli,bata kya baat karni hai
Mai thoda Sa ghabraya,
Thoda Sa sharmaya
Aur kuch samjh na aya,
Ke baat kya karni hai.


Aur maine yuhin keh diya
Kuch bhi, sab kuch, bahut kuch, aur kuch bhi nahi...


Is par wo boli, kitna asatyabhas(paradox) hai tu,
Sach kyu nahi batata kya baat karni hai.


Maine apni bhavnaon ko tatola,
Aur apne mann ko jhakola
Parantu shabdo ka chayan na kar paya.


Aur maine usse likh diya
Priytama ye to mujhe bhi nahi pata ke baat kya karni.


Par itna pata hai,
Jo bhi karni hai,
Tujhse hi karni hai...


Kuch bhi, sab kuch, bahut kuch, aur kuch bhi nahi...

No comments:

Post a Comment